Some folk songs from Northwestern Uttar Pradesh

I. Shree shyam tumhare charnon mein, ek bar thikaana jo mil jaye…

Shree shyam tumhare charnon mein, ek bar thikaana jo mil jaye,

Main janam-janam gun gaoongi, jeewan bagiya khil jaayegi

Bhatkon ko raah dikhaate ho, haare ka saath nibhate ho,

Main haar gayi khud se mohan, mujhe tera sahaara jo mil jaaye

Shree shyam tumhare charnon mein, ek bar thikaana jo mil jaye,

Main janam-janam gun gaoongi, jeewan bagiya khil jaayegi

Koi khud se nahin ladd sakta hai, bin tere sahaare saanwariya,  

Wo nirbhay ho jeeye jag mein, jiska tu sahaara ban jaayein

Shree shyam tumhare charnon mein, ek bar thikaana jo mil jaye,

Main janam-janam gun gaoongi, jeewan bagiya khil jaayegi

Main is kaliyug ki chor prabhu praani ko bahut satati hoon,

Aisa wishwaas karo bhagwan, satmaarg prabhu ka mil jaaye,

Shree shyam tumhare charnon mein, ek bar thikaana jo mil jaye,

Main janam-janam gun gaoongi, jeewan bagiya khil jaayegi

 

II. Dil ko kaise bandhaoon dheer, umariya meri baali

Hay lakshman ne zulm guzaara, meghnath ko teer se maara,

Hain jee usne maara hai lanka ke beech ae umariya meri baali,

Dil ko kaise bandhaoon dheer, umariya meri baali..

Dhad pada pati ka rann mein aur bhuja padi mehlon mein,

Sheesh kyun rakh liya he jagdeesh ae umariya meri baali

Dil ko kaise bandhaoon dheer, umariya meri baali…

Saas ee kya poochhti,

Saari main to hoon silochan naari,

Hain jee main to ho gayi dheer,

Ae umariya meri baali,

Dil ko kaise bandhaoon dheer, umariya meri baali..

 

III. Meri naazuk naram kalai re, paniyan kaise jaoon

Apne sasur ki main ghani laadli,

Tum sone ki iintein mangaayo re, paniya kaise jaoon

Meri naazuk naram kalai re, paniyan kaise jaoon

Apne jeth ki main ghani laadli,

Tum chaandi ka dol mangaayo re, paniya kaise jaoon

Meri naazuk naram kalai re, paniyan kaise jaoon

Apne devar ki main ghani laadli,

Tum resham ki dor mangaayo re, paniya kaise jaoon

Meri naazuk naram kalai re, paniyan kaise jaoon

Apne raja ki main ghani laadli,

Tum aangan ke beech kuan khudwao re, paniya kaise jaoon

Meri naazuk naram kalai re, paniyan kaise jaoon

IV. Hai baagh soono re koyal bin

Saas sasur bin sasural soono,

Hai aangan soono re nanand bin,

Hai baagh soono re koyal bin

Jeth jethani bin ghar soono,

Hai holi soono re, devar bin,

Hai baagh soono re koyal bin

Hai pati bin sansaar soono,

Hai god soono re lalan bin,

Hai baagh soono re koyal bin

 

V. Maa bete ka pyaar raha na, Behen bhool gayi bhai nai

Kitna mehnga gud ho gaya , tarse log mithai se,

Maa bete ka pyaar raha na, behen bhool gayi bhai nai

Shastri ke raaj mein hain bebbe,

Sab bandhan mein raha karein the,

Apne haathon bhaari kulhaadi de diya raaj lugaai ne,

Kitna mehnga gud ho gaya , tarse log mithai se,

Maa bete ka pyaar raha na, behen bhool gayi bhai nai

Desi bhojan khaaya karein the,

Doodh ke baille piya karein the,

Kitna bura alakaran the, chai ka cup jamai nai

Kitna mehnga gud ho gaya , tarse log mithai se,

Maa bete ka pyaar raha na, behen bhool gayi bhai nai

Ghoom ghhaaghe pehra karein the,

Reshmi chunri odha karein the,

Terrycoat, terrylene chaal gaye de diya jor silai ne,

Kitna mehnga gud ho gaya , tarse log mithai se,

Maa bete ka pyaar raha na, behen bhool gayi bhai nai